Pen Drive Se Virus Kaise Hataye - Jane Do Tarike
Aaj hum es post ke jariye janenge ki agar pen drive me virus aa jaye to hume kaise virus ko remove krna chaiye. Islye dosto ap es post ko dhyn se padhe or jane pen drive se virus kaise hataye ka samadhan. Pehle hum jante hai pen drive me virus aate kaise hai. Niche mai apko btaungi ki pen drive me virus aate kase hai. Pen Drive me Virus Aane ke Karan Jab hum apne pen drive ko ek ya ek se adhik computer or laptop me use karte hai to hmri pen drive me virus aa jate hai. Jinki vajah se hum apne data ka use ni kar pate. Pen drive me virus aane ke aur bhi karan hai jaise pen drive ko cyber cafe me use krna esse bhi pen drive virus infected ho jati hai or data usable ni hota hai. Kabhi - kabhi humare computer aur laptop me shortcut virus aa jate hai jinki vajah se jab bhi hum apne computer me pen drive or memory card lagate hai hmare data ka short cut ban jata hai. Yeh ek tarah ka virus hi hota hai jo sadharan kisi antivirus se bhi delete ya remove ni hota hai. Jiske karan humara p...